1) Chaahta hu usse paana mei har din,
Sochta hu agar kaabiliyat hai toh sochna kyu hai,
Aur agar nahi kaabil toh chaahna kyu hai.
Kya wo manzil hai, yaa manzil ko paane ki wajah.
2) Dil hai, maayus hona iski fitarat hai,
Sochta hu toh maayus hota hu, toh sochna hi kyu hai,
Aur agar na ho maayus toh, fir yeh Dil hi kyu hai.
Kya yeh iski aadat hai, yaa kisi aadat badalne ki wajah.
3) Agar raasta hai toh koi manzil bhi hogi,
Sochta hu agar jaana hi hai, toh sochna kyu hai,
Aur agar raasta hi nahi, toh fir yeh manzil kyu hai,
Kya yeh khuaab hai, yaa hakeekat se haarne ki wajah.
4) Har waqt dekh k usse bechain hota hu,
Sochta hu haasil karlu usse toh sochna kyu hai,
Aur agar nahi hona bechain toh dekhna kyu hai,
Kya yeh uski chaahat hai, ya jeene ki wajah