Raasta mushkil na ho toh manzil kya
Ghaav gehra na ho toh dard kya
pyaas talab na ho toh shiddat kya
Aur duniya m pehchan na ho toh zindagi kya
har shakhs ki pehchaan hai!
kisi ka naam hai
kisi ki zaat hai
aur kisi ki aukaat hai
lekin jiski pehchaan hi uska kaam hai
zamaane m ussi ki jai-jai kaar (lughat) hai
ek raaste pe nikale hai
mushkilo ki bharmaar hai
lakshya dur zaroor hai
lekin hosla hamaare saath hai
pohchenge manzil tak agar mazboot iraada, aur khud pe vishwaas hai
kehte hai,
kar yakeen khud pe toh khuda bhi tere saath hai,
warna kisi k liye do waqt ki roti bhi badi baat hai